Tuesday, February 14, 2012

Kab tak MAI MAI karta rhega


Kab tak MAI MAI karta rhega
.
jaha taha sab chinta me leen hai
sab mrityu ke adheen hai
.
santushti k liye kab tak marta rhega
Kab tak MAI MAI karta rhega
                 |
Fal prapti ki aasha sabko hoti hai
isi aasha ko tak ke Zindagi ghut ghut k roti ha
.
MAUT satya hai __ KATU SATYA....kab tak isse darta rhega
Kab tak MAI MAI karta rhega
                  |
Jeevan prapt hua hai isliye kasht to anivarya hai
Karam karna tera aur badhaayein hatana USKA  karya hai
.
MOKSH ki talaash me kaha kaha firta rhega
Kab tak MAI MAI karta rhega
                   |
Moh aur Maya ki kami nahi is sansaar me
suna hai awaaz nahi hoti USKE var me
.
kab tak paapon ka ghada yu bharta rhega
Kab tak MAI MAI karta rhega
                      |
Wo din b aaega jab na tu rhega aur na tera ahem
shayad tab door hoga tera ye vhem
.
jab tak yu hi andar andar tu sadta rhega
apne aapse hi ladta rhega
shayad
tab tak tu MAI MAi krta rhega 

No comments:

Post a Comment